A wonderful Mushaira comes to an end few highlights of Mushaira
Winner of musahira Glowing_g and Ahsass we Congrats to them on winning and wish them good luck in future:
<@gtech> In the name of Allah the Most Merciful the Most Beneficial
<@gtech> we start this mushaira
<@gtech> Topic of Today mushaira is Tanhai
<@gtech> Rehtey Hain Saath Saath Main Aur Meri Tanhai
<@gtech> Kartey Hain Raaz Ki Baat Main Aur Meri Tanhai
* masooom is now known as choha
<@gtech> Din To Guzar Hi Jata Hai Logon Ki Bheer Main
<@gtech> Kartey Hain Basar Raat Main Aur Meri Tanhai
<A[h]SaSs> waaaaaaaaah
<Sher> wah wah
<@gtech> Saanson Ka Kya Bharosa Kab Chor Jain Saath
<@gtech> Laikin Rahain Gay Saath, Main Aur Meri Tanhai
<A[h]SaSs> waaah waah
<@gtech> Aaye Na Tumhe Yaad Kabhi Bhul Kar Bhi gg
<Sher> wah wah
<@gtech> Kartey Hain Tumhe Yaad Main Aur Meri Tanhai
<@gtech> Tum Ko Rakhain Gay Saath Zeenat Bana Ke Ghar Ki
<A[h]SaSs> waaaaaaaaaah waaah waaaaaaaaaaaah
<Sher> wah wah wah
<@gtech> Reh Jain Phir Na Tanha Main Aur Meri Tanhai
<Sher> Raat ki Tanhai se darte hai hum kagaz ki parchai se darte hai hum
<Sher> ye hum dunya saat chale na chale.. per app ke saat ki ummed karte hai hum
<Sher> Lamhe ye sunhare kal saath ho na ho… in lamho mein kal,
<Sher> aj jaise baat ho na ho..hamari yado ko apne dil mein hi rakhna
<Sher> tamaam umar chhahe mulakat ho na ho…
<Sher> Titliya fulo pe mandrati to hongi… Bhawro ka dil
<Sher> Bhawro ka dil lubhati to hongi… Hum to tadapte hai aap ki yaad mein
<Sher> Hichkiya to aapko bhi aati hongi…
<Sher> Main Teri Kahani Kya Jaanu...
<Sher> Main Tera Fasaana Kya Jaanu...
<Sher> Har Disha Baharo Ki Rahat Hai...
<Sher> Main Bhanwaro Ka Tarana Kya Jaanu...
<Sher> Nashili Si Pyasi Aankho Me...
<Sher> Main Beezli Girana Kya Jaanu...
<Sher> Maine Dhundha Tujhe Har Disha ...magar
<Sher> Hai Tera Dil Me Thikana Kya Jaanu.
<Sher> Tere Andaz Nirale Hai Pal-pal
<Sher> Tu Hai Mera Yaar Purana Kya Jaanu...
<Sher> Hua Dil Mera Pahli Nazar Madke...
<Sher> Tera Palakeye Jhukana Kya Jaanu..
<Sher> Tera Rimjhim-rimjhim Barakha Me
<Sher> Julpho Ko Bhigona Kya Jaanu...
<Sher> Tuje Ram Kahoo Ya Rahim Kahoo...
<Sher> Main Hoo Das Purana Kya Jaanu...
<Sher> Kyun pyaar us par hi aata hai,
<Sher> Jo mil kar bhi naa mil pata hai
<PreetyGIR> wah
<Sher> Kaise yeh usse batayein hum,
<Sher> Tujh bin rah na paayein hum.Kyun baar baar woh satata hai -
<Sher> Kuwaabon main aakar rulata hai?
<PreetyGIR> wah
<Sher> Bhulanaa us ko chahein hum,
<Tanhai> kata kalami muaf but shair ke tayari nai couz topic tanhai par tha yeah mohabat par lagay howay hain
<Sher> Par kis tarah bhulaayein hum?
<Sher> Woh mann main har dum rahta hai
<Sher> Dharkan ki tarah dharkta hai
<Sher> Hain issi ehsaas se zindaa hum
<Sher> Hain ek-duje ke dil o jaan hum
<glowing_d> jeetay ji to na tanhai khatam hogi
<glowing_d> jee laitay hon gay log magar ham marain gay
<glowing_d> yaadon main jeenay ki ada ham se na rasam ho gi
<glowing_d> gila na kr ab too tanhaion se danish
<glowing_d> kia hai ishk to azab b sehna hoga
<PreetyGIR> wah wah wah
<A[h]SaSs> waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaah
<glowing_d> khamoshion se ulajna munasib nahi tera
<glowing_d> udaasion ke shehar main chup bahar haaal rehna ho ga
<glowing_d> chand sitarey hain aasman per kitnay chanchal
<glowing_d> muj se suraj ki tanhai nahi dekhi jati
<A[h]SaSs> waah waaah
<glowing_d> tum chand lamhon se pareshan ho gaye ho
<glowing_d> ye ishk hai yahan tamam umer hai ganwai jaati
<glowing_d> muj pe be asar hai tanhaaion ki doop
<glowing_d> teri yaad ki chaon jo muj pe tan jaati hai
<glowing_d> kurbaton ke silsaley taweel nahi achay lagtay
<glowing_d> kurbaton ke silsaley taweel nahi achay lagtay
<PreetyGIR> too good jee too good
<glowing_d> muhaabbat u aasan si ban jaati hai
<glowing_d> ye tanhai b ajeeb ronak hai
<glowing_d> jahan koi na ho wahan lag jaati hai
<glowing_d> meri nazar ko hai teri justujoo iskadar
<PreetyGIR> wah wah wah
<A[h]SaSs> waah waah
<glowing_d> jider b uthay teri hi mehfil saj jaati hai
<A[h]SaSs> AJ ...
<A[h]SaSs> musam ki pehli barsaat hai
<A[h]SaSs> Tanha kahan hon main ...
<A[h]SaSs> YAadain jo uski sath hain
<A[h]SaSs> Main jo ussay na pasaka to kia howa
<glowing_d> wah
<RaJVeeR> irshaaaaaaaab patras saaaab
<A[h]SaSs> jazba e ishq say sarshar chalo ik kam kerta hon
<A[h]SaSs> kata zindagi ka safar tanha
<@gtech> jee jee irshad
<A[h]SaSs> howay raat din basar tanha
<A[h]SaSs> raat ko jagti hain veraniyan
<A[h]SaSs> koi jagay kidher tanha
<A[h]SaSs> Aj mudaton baad..
<Tanhai> irshad
<A[h]SaSs> Bohat zor say badal garja hai
<@gtech> wah wah
<Haya> 13gtech ab meri bari plz
<A[h]SaSs> meri ankh k sath barsa hai ...
<A[h]SaSs> shayed k hogaie hai khabar ..
<@gtech> aj mudaton baad boht zore say badal garja hay
<A[h]SaSs> kuch meray dard ki usko
<A[h]SaSs> apnon say he ulajh para hai
<A[h]SaSs> kuch meray dard ki usko
<A[h]SaSs> apnon say he ulajh para hai
<A[h]SaSs> Aj bechara badal
<PreetyGIR> wah wah wah
<A[h]SaSs> meri TANHAI par ro para hai ...
<A[h]SaSs> Kia tu nay kabhi socha hai k ..
<A[h]SaSs> Raat k kisi tanha pehar main koi
<A[h]SaSs> num si ankhon say laraztay honton say
<Tanhai> I am impress A[h]SaSs
<A[h]SaSs> apnay hath phela kar tujhy khuda say
<A[h]SaSs> mang raha hoga
<A[h]SaSs> Zindagi ka safar bara taweel hai safar ..
<A[h]SaSs> Tanha tum is terha kahan tak jaogay ..
<Haya> 13gud wah wah karnay walo chelo pesay phir b nhe milain gay ap sab ko
<A[h]SaSs> jo hum na honay gay to itna he soch lo
<A[h]SaSs> phir kis kay ashiyaan par bijli giraogay
<+glowing_d> kisi mehfil main na ham ko rasai hui -- apnay rom rom main shamil u tanhai hui--nahi kar saki raaaat koi tanhai ki mujay udaaaas--apnay hi aap main jo hai teri dunya basai hui<<DANISH>>
<A[h]SaSs> main aur meri tanhai, aksar yeh baatein karte hain
<A[h]SaSs> tum hoti to kaisa hota, tum ye kehti tum woh kehti,
<A[h]SaSs> tum is baat pe hairan hoti, tum us bat pe kitni hasti
<A[h]SaSs> tum hoti to aisa hota, tum hoti to waisa hota.
<A[h]SaSs> main aur meri tanhai, aksar yeh baatein karte haim
<A[h]SaSs> Majboor yeh haalaat, idhar bhi hai udhar bhi
<A[h]SaSs> Tanhaai ki ek raat, idhar bhi hai udhar bhi
<A[h]SaSs> Kehne ko bahut kuch hai, magar kisse kahe hum
<A[h]SaSs> Kab tak yunhi khaamosh rahe aur sahe hum
<A[h]SaSs> Kyoon dil mein sulagte rahe, logon ko bata de
<A[h]SaSs> Haan humko mohabbat hai, mohabbat hai, mohabbat
<A[h]SaSs> Ab dil mein yehi baat, idhar bhi hai udhar bhi
<+glowing_d> har shab baray shok se tera khaab sajatay hain -- kisi ahat say jagain to phir tanha reh jaatay hain<<DANSH>>
<A[h]SaSs> lagta hai larkiyon k meray khilaf planing ki thi
<gtech> hehehehe
<A[h]SaSs> Kia tu nay kabhi socha hai k ..
<A[h]SaSs> Raat k kisi tanha pehar main koi
<A[h]SaSs> num si ankhon say laraztay honton say
<A[h]SaSs> apnay hath phela kar tujhy khuda say
<A[h]SaSs> mang raha hoga ..
<A[h]SaSs> ....................................
<A[h]SaSs> ...................................
<A[h]SaSs> ..................................
<A[h]SaSs> Aj mudaton baad..
<A[h]SaSs> Bohat zor say badal garja hai
<A[h]SaSs> meri ankh k sath barsa hai ...
<A[h]SaSs> shayed k hogaie hai khabar ..
<A[h]SaSs> kuch meray dard ki usko
<A[h]SaSs> apnon say he ulajh para hai ..
<A[h]SaSs> Aj bechara badal
<A[h]SaSs> meri TANHAI par ro para hai .
<A[h]SaSs> .........................................
<A[h]SaSs> Zindagi ka safar bara taweel hai safar ..
<A[h]SaSs> Tanha tum is terha kahan tak jaogay ..
<A[h]SaSs> jo hum na honay gay to itna he soch lo
<A[h]SaSs> phir kis kay ashiyaan par bijli giraogay
<A[h]SaSs> ....................................................
<A[h]SaSs> Kata zindagi ka safar Tanha..
<A[h]SaSs> Main jo ussay na pa saka to kia howa ...
<A[h]SaSs> Jazba ishq say sarshar chalo ik kam kerta hon
<A[h]SaSs> Meri zundagi hai ik khuli kitaaab ki manid ...
<A[h]SaSs> or is kitaab ka har ik lafz main us kay naam kerta hon
<A[h]SaSs> main aur meri tanhai, aksar yeh baatein karte hain
<A[h]SaSs> tum hoti to kaisa hota, tum ye kehti tum woh kehti,
<A[h]SaSs> tum is baat pe hairan hoti, tum us bat pe kitni hasti
<A[h]SaSs> tum hoti to aisa hota, tum hoti to waisa hota.
<A[h]SaSs> main aur meri tanhai, aksar yeh baatein karte haim
<A[h]SaSs> Majboor yeh haalaat, idhar bhi hai udhar bhi
<A[h]SaSs> Tanhaai ki ek raat, idhar bhi hai udhar bhi
<A[h]SaSs> Kehne ko bahut kuch hai, magar kisse kahe hum
<A[h]SaSs> Kab tak yunhi khaamosh rahe aur sahe hum
<A[h]SaSs> Kyoon dil mein sulagte rahe, logon ko bata de
<A[h]SaSs> Haan humko mohabbat hai, mohabbat hai, mohabbat
<A[h]SaSs> Ab dil mein yehi baat, idhar bhi hai udhar bhi
<A[h]SaSs> samnay umar pari hai shab e tanhai ki .
<A[h]SaSs> wo mujhy chor gaya sham say pehlay pehlay
<A[h]SaSs> ...........................................................
<A[h]SaSs> Tanhaioun Main Jab Meri Tasweer Dekhna
<A[h]SaSs> Ankhoun Main Jhankna Koi Tahreer Dekhna
<A[h]SaSs> Hojayen Jab Qabool Dua Tark-e-Ishq Ki
<A[h]SaSs> Tab Tum Meri Duaoun Ki Taseer Dekhna
<A[h]SaSs> Hona Khumar-e-Ishq Main Ger Mubtila Toh Phir
<A[h]SaSs> Bekhwabioun Main Khwab Ki Tabeer Dekhna
<+glowing_d> hoon sahilon ka hukmaran magar phir bhi
<+glowing_d> tu bichra hai jab se main tishna hoon
<+Tanhai> ok
<+Tanhai> I don't want to hurt anyone
<+glowing_d> gg baba congrats to win our hearts
<+Tanhai> but jo kahoon ga sach sach
<+Tanhai> jaisa kay mushairay ka plot tha us kay standard say to ap log boht low thay
<+Tanhai> infact jaisa mujhe bataya gaya tha
<+Tanhai> but u people are young so good try
<+glowing_d> thanx sir
<+A[h]SaSs>
<+Tanhai> jo sahab sher sahan thay woh to out of topic gye
<+Tanhai> kuch sher un kay achay thay but over all fail
<+Tanhai> glowing_d ap aik achay shair ho but ap nay sirf rubai sunai
<+Tanhai> gazal aur nazam nai thee
<+Tanhai> but was good
<+glowing_d> thanx sir
<+Tanhai> ap ke typing speed achi nai is liye boht words samajh nai
<+Tanhai> specially youn ko ap u likhtay ho
<+Tanhai> so shair ka mazza kharab ho jata hay
<+Tanhai> aur parhnay walay ko samajh bhe nai ata
Kabhi yaad aaye tau poochna,
Zara apni khalwat-e-shaam se,Kissay ishq tha teri zaat se,
Kissay pyar tha tere naam se,
Zara yaad karo kay woh kaun tha,
Jau kabhi tujhay bhi aziz tha,
Woh jau jee utha tere naam se,
Woh jau marr mita tere naam se,
Humain berukhi ka nahi gila,
Kay yehi wafaoon ka hai sila,
Magar aisa jurm tha kaunsa,
Gaye hum dua salaam se,
Na kabhi visaal ki chaah ki,
Na kabhi firaaq main aah ki,
Kay mera tareeqa-e-bandagi,
Hai juda tareeqa-e-aam se.